Song

Khoya Sab

Preview Full Track

Khoya saath lagey khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Uthaye jokhim humney rozz he naye
Jab thi khaane ko Rozi roti nahi
Mili izzat mili taakat
Par talaasha maine chayn thoda jab na mila woh he kahin
Khoja khudmei bhi aur khoja jag
Khudki khaamiyaan par khoji nahi

Ye maaya ka hai Moh ni sahi
Ye maaya ka hai Moh ni sahi
Khoya pyaar ismei khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Royi nahi

Kya hai sahi aur hai galat kya
Mujhe ni pata hai farak kya
Bas dekha apno ko sotey
Bhookey peyt
Aur jaanta hota woh Dard kya
Chukaaye jo sarr the karzey mere
Jo jeeta nahi mai woh shart kya
Iss haar aur jeet ke beech mei rehta khauf mera aajae Antt na

Dikhey bas Kohra aagey
Lagey khudko he kho raha mai
Kya tha mai Pehle aur kya bann gaya mai
Karein ye izzat meri ya karein ye daya
Mujhko dekh ke
Choti pey hu khada mai
Par Jaa rahi zameen ye pairon ke neechey sey fisal
Iss maaya ke jaal sey chahu ke jaau mai nikal
Rehti hai Apno ki jaano ki fikar
Neendein haraam
Karu mai shaant kaise sarr mei chalti aawaazon ko
Hone ni deta kabhi namm inn aankhon ko
Par Kaise badlu mai abb inn haalaaton ko
Karne hain poorey kuch adhoorey khwaabon ko
Kaise chalau mai waapas sey thami unn saanson ko

Khoya saath lagey khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Uthaye jokhim humney rozz he naye
Jab thi khaane ko Rozi roti nahi
Mili izzat mili taakat
Par talaasha maine chayn thoda jab na mila woh he kahin
Khoja khudmei bhi aur khoja jag
Khudki khaamiyaan par khoji nahi

Ye maaya ka hai Moh ni sahi
Ye maaya ka hai Moh ni sahi
Khoya pyaar ismei khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Royi nahi

Mujhe lagta tha hu mai shaapit
Fir pata chala ke mai khud he hu shraap
Kitne jo khadey khilaaf
Hai Meri Sangat kharaab
Tha Mera Mattha kharaab
Jo kheecha tujhe bhi
Iss daldal mei
Khatron sey bharey iss jungle mei
Hai Mera kasoor
Jaane diya tujhe ghar wapis akele uss raat
Ye jaanke bhi ki ho rahi gun teri jam
Aur dushman ney kardiya jung ka elaan
Par na tha jaanta mai hogi meri kismat itni kharaab
Ke usi din teri jaan ke aaengay peechhey woh
Kartey Vaar bhi jo peechhey sey

Geedad ye puntar gali ke the
Jabsey hui zindagi behtar apni
Saaley jaltey tabhi sey the
Aaya bhabhi ka call, tu gharpey aaya ni laut ke
Aa paata jab tak samajh ke hua kya hai tab tak ho chuki thi bohot deyr
Usney toh dey bhi di Maafi, par na kar paata mai khud he ko maaf
Toot gaya andar sey mai bhi jab haathon mei mere toddi tuney Saans (lagey khoya sab)

Khoya saath lagey khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Uthaye jokhim humney rozz he naye
Jab thi khaane ko Rozi roti nahi
Mili izzat mili taakat
Par talaasha maine chayn thoda jab na mila woh he kahin
Khoja khudmei bhi aur khoja jag
Khudki khaamiyaan par khoji nahi

Ye maaya ka hai Moh ni sahi
Ye maaya ka hai Moh ni sahi
Khoya pyaar ismei khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Royi nahi
Khoya saath lagey khoya sab
Par ye aankhein kabhi royi nahi
Uthaye jokhim humney rozz he naye
Jab thi khaane ko Rozi roti nahi
Mili izzat mili taakat
Par talaasha maine chayn thoda jab na mila woh hai kahin
Khoja khudmei bhi aur Khoja jag
Khudki khaamiyaan par khoji nahi